Dukh sukh tha ek sabka Lyrics
Play & Listen
| Song | Source | Play & Listen |
|---|---|---|
| Dukh sukh tha ek sabka Artist : Pankaj Udas |
Save As | |
| Dukh sukh tha ek sabka Artist : Pankaj Udas |
Save As |
Dukh sukh tha ek sabka Song Lyrics
Song Lyrics Title : Dukh sukh tha ek sabka
Song Lyrics Movie : Jashn - Vol 1
Singer : Pankaj Udas
mp3 songs
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dada hai aate the jab
Mitti ka ek ghar tha
Choron ka koi Khatka
Na dakuon ka dar tha
Khaate the rookhi sookhi
Sote the neend gehri
Shaamein bhari bhari thi
Aabaad thi dupehri
Santosh tha dilon ko
Maathe pe bal nahi tha
Dil mein kapat nahi tha
Aankhon mein chhal nahi tha
Thay log bhole bhale
Lekin the pyaar wale
Duniya se kitni jaldi
Sab ho gaye ravana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Abba ka waqt aaya
Taaleem ghar mein aayi
Abba ka waqt aaya
Taleem ghar mein aayi
Taleem saath apni
Taaza vichaar laayi
Aage rawayaton se
Badne ka dhyaan aaya
Mitti ka ghar hata to
Pakka makaan aaya
Daftar ki naukri thi
Tankaha tha sahara
Maalik pe tha bharosa
Ho jaata tha guzara
Paisa agar che kam tha
Phir bhi na koi gham tha
Kaisa bhara pura tha
Apna gareeb khana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Ab mera daur hai yeh
Koyi nahi kisi ka
Ab mera daur hai yeh
Koyi nahi kisi ka
Har aadmi akela
Har chehra ajnabee sa
Aansoon na muskuraahat
Jeevan ka haal aisa
Apni khabar nahi hai
Maya ka jaal aisa
Paisa hai martaba hai
Izzat waqar bhi hai
Naukar hain aur chaakar
Bangla hai car bhi hai
Sar paas hai zameen hai
Lekin sakoon nahi hai
Paane ke vaaste kuch
Kya kya pada gavaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Aye aane wali naslon
Aye aane wale logon
Aye aane wali naslon
Aye aane wale logon
Bhoga hai humne jo kuch
Woh tum kabhi na bhogo
Jo dukh tha saath apne
Tumse kareeb na ho
Peeda jo humne jheli
Tumko naseeb na ho
Jis tarah bheed mein hum
Zinda rahe akele
Woh zindagi ki mehfil
Tumse na koyi le le
Tum jis taraf se guzro
Mela ho roshni ka
Raas aaye tumko mausam
Ekkiswi sadi ka
Hum to sukoon ko tarse
Tum par sukoon barse
Anand ho dilon mein
Jeevan lage suhaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dukh sukh tha ek sabka Video Song
No cached video is currently available for this song.
Song Information
Song
Dukh sukh tha ek sabka
Movie / Album
Jashn Vol one
Artist / Section
Pankaj Udas
Related Songs from Jashn Vol one
More songs available from the same movie or album.
Related Albums
More album collections from the same catalogue section.
About This Song Page
This page organizes the lyrics, available playback source and catalogue information for Dukh sukh tha ek sabka in one place.
PKSongPK does not store copyrighted MP3 or audio files on its own server. Where playback is available, audio is accessed through links to third-party sources, and the respective content remains the property of its copyright owners.







